You are currently viewing Sone Ki Dua Or So Kar Uthne Ki Dua Hadees Mein

Sone Ki Dua Or So Kar Uthne Ki Dua Hadees Mein

Sone Ki Dua Hai: “Bismika Allahumma amutu wa ahya”

Tarjuma: “Ya Allah, Aapke Naam Ke Sath Main Marta (sota) Hoon or Jeeta (utahta) Hoon.”

Is dua ka matlab hai ki hum sone se pehle Allah ki taqat ko maante hue uske bharose par chhod dete hain, taaki agar hum us raat mar bhi jaayein to Allah ki marzi mein hi ho.

Raat mein sone se pehle is dua ko padhein jo Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne batayi hai, taaki Allah ki rehmat aur hifazat mil sake.

Hamari website Namaz Or Dua mein har chhoti se chhoti aur badi se badi Islamic Dua Hindi Mein padh sakte hain, aur raat mein sone se pehle ki dua rozmarra ki zindagi ka hissa hai.

Reference – Sahih al-Bukhari 6324

Sone Ki Dua in Arabic

“اللَّهُمَّ بِاسْمِكَ أَمُوتُ وَأَحْيَا”

Sone Ki Dua in English

“O Allah, with Your name I die and I live.”

Sone Ki Dua in Roman English

“Bismika Allahumma amutu wa ahya”

Sone Ki Dua in Urdu

“اللَّهُمَّ بِاسْمِكَ أَمُوتُ وَأَحْيَا”

Sone Ki Dua in Hindi Image

Read Also – Qabar Par Mitti Dene Ki Dua

Sone Se Pehle Ki Dua Hume Kyu Padhna Chahiye?

Sone Se Pehle Ki DuaIs dua se hum Allah se rehmat aur hifazat maangte hain. Hum apne din ki thakaan ke baad aaram aur chain ki neend pane ke liye is dua ka sahara lete hain.

Is dua ka maqsad hai ki hum apne din ka ant bhi Allah ka shukriya ada karte hue karein aur raat ko Allah ki hifazat mein soyen.

Islam Me Sone Ka Sunnat Tarika- Sone Ke Waqt Ki Dua

  1. Wazu Karna – Sone se pehle wazu karke sona chahiye.
  2. Dahini karwat sona – Yeh sunnat mana gaya hai ki sote samay apni baayi karwat par soyein aur sone ki dua padhkar hi soyein.
  3. Ayatul Kursi – Sone se pehle Ayatul Kursi padhna afzal hai. Yeh ayat humare aur shaitaan ke beech ek deewar ki tarah kaam karti hai aur raat ko humein buri taqaton se bachati hai.
  4. Surah Al-Mulk ki tilawat – Raat ko sone se pehle Surah Al-Mulk padhne se bhi Allah ki rehmat aur maafi ka darwaza khulta hai. Is surah ki tilawat karne se humein kai gunaahon se chutkara milta hai aur Allah humein jannat mein ek khaas darja deta hai.
  5. Tasbeeh-e-Fatima padhna – Tasbeeh-e-Fatima, jisme 33 baar “Subhan Allah”, 33 baar “Alhamdulillah” aur 34 baar “Allahu Akbar” kehna hota hai.
  6. Surah-e-Fatiha padhna – Raat ko sone se pehle 3 martaba Surah-e-Fatiha padhne aur apne gunaahon se tauba karni chahiye.

Al-Bara bin Azib ne bataya ki Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya:

Jab tum bistar par jao, to namaz ki tarah wuzu karo, phir dahini taraf let jao aur padho:

“Ya Allah, main apna chehra teri taraf karta hoon aur apna maamla tere hawale karta hoon.
Main tujh par bharosa aur tere dar ke saath teri panaah mein aata hoon.
Tere siwa koi sahaara aur koi chhudane waala nahin hai.
Main teri kitaabon par jo tune utaari hain aur tere Rasoolon par jo tune bheje hain, apna imaan pakka karta hoon.”

Isse apna aakhri shabd banao (jab tum sone jao) aur agar tum us raat mar bhi gaye to tum fitrah (Islam) par maroge.

Reference – Sahih Muslim 2710a

क्या आपको अज़ान के बाद की दुआ पता है? अगर नहीं, तो आप Azan Ke Baad Ki Dua in Hindi में पढ़ सकते है। 

So Kar Uthne Ki Dua Kya Hai?

So Kar Uthne Ki Dua Hai: – Alhamdu Lillahil-ladhi Ahyana Ba’da Ma Amatana Wa Ilaihin-Nushoor

So Kar Uthne Ki Dua: Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne so kar uthne ki dua batayi jo humein Allah ki rehmat ke kareeb laati hai. Is dua ko subah uthne ke turant baad padhna chahiye. Isse hum Allah ka shukr ada karte hain jisne humein marne (sone) ke baad zinda kar diya.

So Kar Uthne Ki Dua in Arabic

“اَلْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِيْ أَحْيَانَا بَعْدَ مَا أَمَاتَنَا وَإِلَيْهِ النُّشُوْرُ”

So Kar Uthne Ki Dua in Urdu

“الحمد للہ الذی أحیانا بعد ما أماتنا وإلیہ النشور”

So Kar Uthne Ki Dua Ka Hindi Tarjuma

“सारी तारीफें अल्लाह के लिए हैं जिसने हमें मरने (सोने) के बाद जिंदगी दी और उसी की तरफ हमें लौटकर जाना है।”

So Kar Uthne Ki Dua in English

All praise is for Allah who gave us life after causing us to die, and to Him is the resurrection.

So Kar Uthne Ki Dua in Roman English

Alhamdu Lillahil-ladhi Ahyana Ba’da Ma Amatana Wa Ilaihin-Nushoor

So Kar Uthne Ki Dua in Hindi

Read Also – Kamyabi Ki Dua in Hindi

(FAQ)

  1. Sone Se Pahle Dua Padhna Kyu Zaruri Hai?

    Sone se pehle dua padhne isliye padhna chahiye kyunki humein Allah ki rehmat aur hifazat mil sake, agar us raat mar bhi gaye to tum fitrah (Islam) par maroge.

  2. Kya hadees mein bhi sone ki dua ka zikr hai?

    Haan, hadees mein bhi sone ki duaon ka zikr milta hai.

  3. Sone se pehle ki dua kab padhni chahiye?

    Sone se pehle wuzu karke, bistar par jaane ke turant baad dua padhni chahiye.

  4. Kya har roz sone se pehle dua padhna zaroori hai?

    Haan, har roz sone se pahle dua padhna sunnat hai.

  5. Kya bachche bhi sone ki dua padh sakte hain?

    Ji haan, bachche bhi sone se pehle dua padh sakte hain.

  6. Kya bina wuzu kiye sone ki dua padh sakte hain?

    Haan, wuzu karna behtar maana gaya hai, lekin agar wuzu na ho, tab bhi sone ki dua padh sakte hain.

Md Ibrahim

Meri website ka asli maksad islami ilm ko aasan andaz me pesh karna taaki har shaqs ise samajh kar apani zandgi me amal kar sake. Mene kai post likhe hai Jin me Dua, Namaz, or Surah aham hai. NamazOrDua.com par mera maksad aap sab ko islamic, Quran or Hadess, or Sunnat tariko ka sahi ilm ya jankari dena. Mera yaqeen hai ki sahi ilm or jankari hame iman or nek raasto par chalne me madad karta hai.

This Post Has 8 Comments

Leave a Reply